Quotes

Urdu Gardening Tips Indoor Plants In Pakistan Garden Designs

By 2:11 AM ,

Indoor Plants in Pakistan - Khushnuma phool aur plants dilkashi ka beas hote hain. Gamlon mein lagey poday ghar mein freshness lanay ka sabab ban saktay hain. Is se ghar ka mahool bhi nikhra nikhra aur khushgawar mehsos hota hai. House ki decoration ke liye lagaye gye different types ke plants expensive bhi nahin hotay aur aap asani se apne ghar ki deewaron ko aur lawn ko khubsurat poday laga ka saja sakti hain.

Makan ho ya flat apne ird gird ke rang aur fitrat ki khbusurati ko asani se ghar mein shamil karne ke liye flower pots yani gamlay lagaye ja sakte hain aur un ki zara si dekh bhal se aap bohat sare faide bhi hasil kar sakti hain. For example gamlon mein khushnuma plants and flowers ke sath sath podeena, dhania, tamatar, hari mirch aur sabziyon ki woh types jo kam jagah laiti hain, asani se laga sakti hain.



Indoor Plants laganey ke liye 3 naton ka khayal rakhna zaroori hai.
  • Flower pots ka sahi intekhab.
  • Flower lagane ka mausam.
  • Plants ka intekhab.
In tamam mein bunyadi ahmiyat jaron ke liye aik behtareen mahool faraham karne ko hasil hai. Aik sehat mand jar poday ke nazam ko agey barhanay ke liye madadgar hoti hai, isi liye pani ki darust maqdar, munasib hawa aur dhoop is ke liye zaroori hain.

Plants laganey ke liye weather ka taeen bhi zaroori hai. Agar weather ki munasbat se plants lagaye jayain tou is baat ka khayal rakhain ke woh thoray arsay ke liye hi hon gey jab ke khuch plants aisay bhi hotay hain jo sada bahar rehtay hain aur un ke phool har mausam mein khiltay hain.

Plants select kartay waqt is baat ka khayal rakha jaye ke un ki jarain taza hon. shakhain aur tehniyan hari bhari nazar ayain. Mazeed ye ke plants ko dusri jagah muntaqil kartay waqt jaron ko hawa na lagey. Plants laganeke liye sub se pehle tou munasib jagah ka taeen karain jahan taza hawa ho aur dhoop mil rahi ho. Pani ki nakasi ka nazam ho warna zaid pani se podon ki jarain kharab ho jati hain aur poday murjha jate hain.

Agar aap flat mein rehti hain aur baghbani yani agrdening ka shoq rakhti hain tou aisay gamlon ko select karain jo ghar ki balkoni ya hawa dar jagah par rakhay ja sakain jahan sunling pohanch sakay. Flower pots ka weight bhi zehan mein rakhain aisa na ho ke koi gamla mitti bharnay ke bawajod bhi darmiyan se khali ho agar aisa hua tou asani se toot sakta hai is liye gamla, gheeli mitti aur plant se bhara hua hona chahiye. Soil se bane flower pots dekhne mein beautiful hote hain aur paidar bhi par aap dusri kisam ke gamlay bhi istemal kar sakti hain.

Plastic ki bani kayariyan aur chotay bare gamlay mukhtalif qisam ki shaklon aur rangon mein hotay hain. Agar aap halkay ohulkay aur khushnuma plants lagana chahti hain tou is surat mein ye kar amad hote hain aur unhain asani se walls ya terrace par latkaya bhi ja sakta hai.

Wooden flower pots bhi plants ko natural atmosphere provide kartay hain aur plants un mein bohat achi tarah nashunuma patay hain. Ye plastic ke muqablay mein pani ki nakasi ka kaam behtar tor par anjam detay hain. Lakri se banaye gye aisay gamlay muntakhib karain jin ki wood achi ho aur jald kharab hone ka andesha na ho.

Dhat se bane gamlay ab teezi se maqbool ho rahe hain. Un gamlon par aik khas teh charha di jati hai aur pani ke nikalnay ka intezam bhi kiya jata hai. Un flower pots mein pani ki kam maqdar use ki jati hai ye plants lagane ke liye behtar hain.

Flowers, plants laga kar na sirf ghar khubsurat banana asan ho jata hai balkeh ghar ka mahool bhi acha rehta hai tazgee ka ehsas mehsoos hota hai. Colourful flowers aap ki aankhon ko thandak pohanchane ka baes banain gey.

0 comments