Fruit Farming Pakistan Zaitoon Cultivation Olive Growing Season Olive Plant
Fruit Farming Pakista - Zaitoon ko english mein Olive kehte hain is ka shumar world mein important fruits mein hota hai aur kyoun na ho is ka zikar Quran Majeed mein hai. Zaitoon ki kasht Pakistan mein bhi ki ja sakti hai.
Farming Zaitoon Ki Kasht Ka Area: Olive ki jungli iqsam Pakistan mein bohat payi jati hain jo ye zahir karti hain ke wahan olive cultivation kamyabi se ho sakti hai. Olive plant ko flower anay aur fruit lagney ke liye sardi ka mausam chahiye hota hai agar plant ko ye mausam na milay tou phal nahin lagta. Isay samandar ki satah se 2000 se 3000 foot ki unchai tak ke alaqon mein bhi kasht kiya ja sakta hai.
Zameen: Zaitoon ki growing ke liye gehri zameen jo barish ke pani ko khasi dair tak apne andar jazb rakh sakay behtar tasawar ki jati hai.
Zaitoon Fruit: Is ka phal august september mein pak jata hai. Jub live fruit ka rang jamni ho jayetou phal ko plant se utar laina chahiye. Phal ko utarne ke kayi tarika hain lekin hath se utare hue phal ma mayar sub se acha hota hai.
Zitoon Ka Istemal: Uses Of Olive: Zitoon ka achar banane ka tarika ye hai ke jub halka sabz ho jaye tou isay plant se utar lain. Pani se dhonay ke baad isay 1% se 2% tak castic soda mein daal dain aur isay 36 se 48 hours tak wahin rehnay dain. Us ke baad phal ko nikal lain. 5 ya 6 martaba pani se dho lain. Phal dhonay ke baad 8 ya 8 salt ke mehlol mein dal dain. Isay 2 ya 3 haftay rehne dain baad mein phal ko pani se saaf kar ke sirka mein daal dain khuch days ke baad achar istemal ke qabil ho jaye ga.
0 comments